Thursday, April 3, 2008

main wohee hoon jisay tum pyar kiya karte thai
din main so baar mera naam liya karte thai

aaj kya baat hai kyon mujhse khafa baithe ho
kya kisi aur ko dil apna bana baithe ho

faslay itnay to pehlay na hua karte thai
main wohi hoon jisay tum pyaar kiya karte thai

mujh ko maloom hai gham hai koi sogaat nahi
tum mujhe apna kaho aysay bhi haalaat nahi

aur gar bhool gaye ho to koii baat nahi
zakham to pehlay bhi is dil pe laga karte thai

main wohi hoon jisay tum pyaar kiya karte thai
jee main aata hai main aaj tumhain tarpa doo

dard jo tum ne diya hai woh tumhain lota doon
aur agar jurm na samjho to ye dohra doon

tum mujeh haasil-e-armaan kaha karte thai
main wohi hoon jisay tum pyaar kiya karte thai..

No comments: