Zindagi aur maut me kuch palo ka faasla ,
maine mehsoos kiya hai,
vo har pal ka poori zindagi ban jana ,
maine mehsoos kiya hai,
vo baba k halak me baat ka atak jana,
maine mehsus kiya hai .
vo amma ka budhape me toot k jhar jana ,
maine mehsoos kiya hai,
vo papa ka shoonya me taakte reh jana,
maine mehsoos kiya hai,
vo ma ki aankho se chup-chup k aansu behna,
maine mehsoos kiya hai,
vo aakhiri palo me bhi doston ka hasna hasaana ,
maine mehsoos kiya hai,
vo pyar ki aankho me soonapan bas jana ,
maine mehsoos kiya hai,
vo ghadi k har pal k saath dhadkane bad jana ,
maine mehsoos kiya hai,
vo apna dard kisi ko naa jataa panaa
maine mehsoos kiya hai,
vo aakhiri saanso ka rago me beh jana,
maine mehsoos kiya haivo har par ka marna aur phir samhalnaa,
maine mehsoos kiya hai...............
Saturday, December 8, 2007
mehsoos
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
1 comment:
hmm...nice poem...par khud likh leta bhai...:):P
Post a Comment