Main apne andar rehta hoon
Aur khud se baatein karta hoon,
Yaadon ke puraane album mein
Kuch hanste gaate chehre hain!
Un chehron mein kuchh begaane
Kuch bilkul mere apne hain,
Un chehron ko main chhuta hoon
Aur chhu ker aanhein bharta hoon!
Main tanha hoon, haan tanha hoon
Is duniya se begaana hoon,
Main apne aap mein jeeta hoon
Tum samjho main deewana hoon!
Main raat ka tukda,
din ka saayaGum ki main parchhayi hoon,
Main shehre-junoon mein faili hui
Apni hi ruswaayi hoon!
Main bolte pinjare ka qaidi
Barson ki khaamoshi hoon,
Main gum ki sarhad paar kiye
Janmon ki udaasi hoon!
Yaadon ke puraane album ke
Chehron mujhse door raho,
Khud mein rehne do mujhko
Khud se baatein karne do.
Sunday, December 9, 2007
Main Aur Main
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment